Apply for Child Registration Certificate-CRC (or B-Form)
NADRA issues CRC – Child Registration Certificate (or B-Form) for children under the age of 18 years. Please see the procedure and other details below.
NADRA Office Timings:
Centers | Days | Timings |
Mega Registration Centers | 7 Days a week | 24 Hours |
Normal Branches | Monday to Friday | 09:00 AM to 05:00 PM |
Centers / Branches:
For your nearest NADRA Center / Branch, Click below:
https://www.nadra.gov.pk/find-nearest-nrc/
Fee Structure:
Fee | Delivery | |
Normal | Rs. 50 | 30 Days |
Urgent | – | – |
Executive | Rs. 500 | 07 Days |
NOTE : To see the Fee Structure in detail, Click below:
https://www.nadra.gov.pk/fee-structure/
Documents Required:
- Original CNICs of father and mother with photocopy
- Child’s father name must be available on Mother’s CNIC
- Union Council’s “Child Birth Certificate” (Original & copy)
Steps:
- Visit of father and mother to NADRA office is compulsory
- Pay the Fee and get Token from the counter
- Officer will take fingerprints of father and mother
- Operator will enter your data and give you its Print
- Check well your data and sign on this form / print
- NADRA sends SMS on your mobile that Certificate is ready
- Get your CRC personally from NADRA Office on date
Tips:
- For fingerprints, avoid mehendi / dust / oil on your fingers
- Keep with you enough change of money
- Keep with you a pen
DISCLAIMER: Information and procedures are collected from various websites and sources. The information on our website is not meant to be used for official purpose. Sometimes, in absence of timely updation, our information may be rather different from the data taken by us from websites/sources. Please share your experience, if any, on our email address pakguide.pk@gmail.com to help improve our data/guidance.
Aoa Sir, Mara Naam Kashif Iqbal hai or Main Tehsil Mian channu District Khanewal Ka rehaishi Hun!
Mari Shadi Year 2017 me hui, Year 2021 me wife ka I.D card Khud ke mean husband ke name se banwaya, jis me Unke walid ki jagha mara Husband ka naam likha gya New smart card me wife ka surname unke walid ka name he rehne diya. Abhi 01 maheena pehle 2 bachon ke Form-B bhi banwa liya he. Ab muje wife ke Smart card me Wife ka Surname walid ki bajay Apna (Husband) Ka Surname likhwana hai. Wife ne Qualification Master hai. District Kasur Education Board Aur Punjab University se wife ki degrees hein. Muje Sir inform kijiye Wife ke I.D card pe Surname change ke liye Kya procedure hai.
Dear Mr.Kashif Iqbal,
W.Salam … Surname father ki jagah Husband ka likhwanay kay liay NADRA ka procedure aasaan hay. Aap aur aap ki wife NADRA Centre tashreef lay jaen. Apnay saath original ID Cards bhi lay jaen. Mazeed documents ki shaayad zaroorat na ho, lekin NADRA waalay simple qisam ka koi Affidavit maang saktay hain jo keh mushkil nahi hay aur Rs.500/- kay andar ban jaega aur aap ka kaam hojaega, InshaAllah.
.
With best regards,
PakGuide
or kiya kisi or region mn ja k b form bnwa skty h..mtlb agr okra rhty h or sialkot bn skta h b form
Respected Azal,
W.Salam … Aap ko B-Form (Child Registration Certificate-CRC) bananay kay liay child kay Union Council Birth Certificate ki aur father & mother kay original CNICs ki zaroorat paregi. CNIC shaadi say pehlay ka bana hua ho ya baad ka, iss say koi farq nahi parta. NADRA walay B-Form may sirf child, father aur mother ka naam likhtay hain.
Agar aap ki rihaish (residence) Okara ki hay tau behtar hoga keh waheen say B-Form banwaya jae. Doosray region yaani Sialkot say bhi shaayad ban jaega, lekin woh log izaafi documents bhi maang saktay hain. Lehaaza mumkin ho tau Okara say hi B-Form banwa lia jae.
.
Regards,
PakGuide
aoa…sir mere bety ka b form bnna h lakin mera cnic before married h to kin kin documents ki zrurt h
Is it compulsory for CRC to get union council certificate or hospital certificate is sufficient?
Dear Mr.Abdul Ghafoor,
If the birth certificates of Union Council and hospital are not available, even then you can apply NADRA for the CRC (B-Form). For issuance of CRC, the NADRA may require an Affidavit from you. However, NADRA’s procedure is simple and you will get CRC from them within a few days.
Best regards,
PakGuide
AoA
How are you sir
Mojy apnii beri ka B-Form bnwana hy wo 1 year ki ho gai hy abi tk name b nhii likhwaya
And mere wife ka cnic b mere name pr bnwana hy os ka apny father k name pr bna hwa hy pehly
And hmara nikah nama b computerized nhii bna hwa
Kindly in sb ka koi best hal bta dain
K step by step kya kya krna ho ga Thanks
Dear Mr.Mudassar Hanif,
W.Salam … Aap wife kay saath yeh documents lay kar qareebi NADRA Centre tashreef lay jaen:-
1) Aap ka original CNIC
2) Aap ki wife ka original CNIC
3) Aap ki beti ka Union Council ka original Birth Certificate aur photocopy
4) Aap ka original Urdu Nikah-nama aur photocopy
Aap NADRA Officer say request karain keh aap ko yeh teen items banwanay hain:-
(1)Beti ka B-Form
(2)Wife kay CNIC main husband ka naam
(3)Computerised Marriage Certificate
Ziada imkaan iss baat ka hay keh NADRA waalay yeh teen items ek saath bana daingay, warna woh log khood aap ko bata daingay keh konsa kaam pehlay karna hay aur konsa baad main. Aap kay teeno kaam aasaani say hojaingay, InshaAllah.
.
Regards,
PakGuide
Sir mera id card nahi mil raha shayad kahi rakh k bhool gaya hu agar new banwau to kiya kiya chaiye
Dear Mr.Arslan,
Iskay liay kisi FIR ki zaroorat nahi hogi. Aap apna CNIC number ya CNIC ki photocopy lay kar NADRA Centre tashreef lay jaen. Aap ka duplicate/ fresh CNIC ban jaega. Agar purana CNIC ittefaq say mil jae tau usko qenchi say tukray kar kay zaaya kar dijiay ga taakeh kabhi uska ghalat istemaal na ho sakay. Two CNICs rakhna qaanooni taur pay bhi manaa hay.
Regards,
PakGuide
Sir mera id card jaal giya hn es ka new banwany ka kiya tarika hn kiya Requirement chahiye
Dear Mr.Usman,
Koi problem nahi hay. Aap jala hua CNIC lay ker NADRA Centre tashreef lay jaen. Woh log aap ko duplicate/ new CNIC issue kar daingay. Fees Rs.400 hay aur 30 days main mil jaega.
Regards.
PakGuide
Sir CRC Certificate online hoga Hager hoga to uska tarika kar kehsy hoga.
Dear Mr.Saleem,
NADRA ki taraf say online CRC haasil karnay ki sahoolat mojood nahi hay. Isliay aap child kay Birth Certificate waghera kay saath NADRA Centre tashreef lay jaen tau CRC aasaani say ban jaega.
Regards.
PakGuide
For birth and death certificate only under CDA . kindly WhatsApp me on 03125565565
https://www.cda.gov.pk/resource_center/news-releases/news-item.asp?var=718
Sir g mire Walid ka CNIC pa Address kse or jagah ka hi lakan min apna address change karwana chata ho is k lyr Kya Karna phariga please rahnmai farmaee
Dear Sir,
Aap kay walid sahib ka address kisi aur jagah ka hay tau koi baat nahi. Aap ko apna address change karwanay kay liay inn documents ki zaroorat hogi:-
Agar aap ka makaan rent pay hay :-
1) Aap ka original CNIC
2) Original Rent Agreement aur photocopy
3) Makaan Maalik kay naam pay original Utility Bill aur photocopy
4) Makaan Maalik kay CNIC ki photocopy
5) NADRA koi Halaf-nama maangega jis pay makaan maalik aur aap kay sign hon
Agar makaan aap ki family ka hay :-
1) Jis family member kay naam pay makaan hay iss ka original CNIC
2) Original property documents (NADRA sirf 3-pages ki photocopy lega)
3) Property maalik kay naam pay original Utility Bill aur photocopy
4) Makaan Maalik kay CNIC ki photocopy
5) Jab ek family member ka address change hojaega tau phir aap ka bhi aasani say change hojaega
Aap yeh documents lay kar NADRA Centre tashreef lay jaen. Woh log aap ko mukammal guide karaingay aur aap ka kaam aasaan hojaega.
.
Regards,
PakGuide
Sir g Mera issues date thek nai hai me Kiya karo or mujh address bi change kar Kiya Kiya pass li jao
Dear Mr.Umair,
Aap address change karnay kay liay NADRA Centre jaen. Jab aap ka address change hojaega tau naya CNIC jaari hoga aur CNIC may Issue Date bhi theek hojaegi.
Aap ko jin documents ki zaroorat paregi, woh yeh hain:-
Agar makaan rent pay hay :-
1) Aap ka original CNIC
2) Original Rent Agreement aur photocopy
4) Property owner kay naam pay original Utility Bill aur photocopy
5) Property owner kay CNIC ki photocopy
6) NADRA koi Halaf-nama maangega jis pay owner aur aap kay sign hon
Agar makaan aap ki family ka hay :-
1) Aap ka original CNIC
2) Original property documents (NADRA sirf 3-pages ki photocopy lega)
3) Property owner kay naam pay original Utility Bill aur photocopy
Aap yeh documents lay kar NADRA tashreef lay jaen. Woh log aap ko mukammal guide karaingay aur aap ka address change hojaega.
.
Regards.
PakGuide